Friday, January 18, 2008

Us ki Aankhon me

Direct Dil Se

Us ki Aankhon me

Us ki Aankhon me Mohabbat ka Sitara hoga

Ek Din aayega wo Shakhs Hamara hoga

Jis ke hone se Meri Saaasein chala karti thi

Kis tarha us ke Bagair apna guzara hoga

Ye achanak jo Ujala sa ho jata hai

Dil ne chupke se Tera Naam pukara hoga

Ye jo Paani mai chala aya Sunehri sa Guroor

Is ne Darya mai kahin Paoon utara hoga

Kon Rota hai yahan Raat k sannaton mai

Mere jesa hi koi Ishq ka mara hoga


No comments: