Monday, June 22, 2009

Arz Kiya he





Internet Per Ladki Pataayi

Internet par ladki pataayi
Internet par ho gayi sagaayi
Internet par divorce ho gaya
Is bahaane computer ka course ho gaya





Koi na mila

Koi na mila aisa jis pe duniya luta dete
sab ne dhokha diya kis kis ko bhula dete
Dil ka dard dil me dabaye rakha hai
Bayaan kiya hota to mehfil ko rula dete





Apne Hisse ki Jindagi

Apne Hisse Ki Jindagi To Hum Bahut Jee Chuke
Ab To Bas Dhadkano Ka Lihaaj Karta Hai
Khafa hai in duniya walon se
Jo aakhari saans pe bhi aitraj karta hai
Mere tute hue dil ko koi shayari kahe to koi gam nahi
Dard to tab hota hai Jab koi wah wah karta hai





Tum banke

Tum banke dost aise aaye zindagi me
ke hum yeh zamana hi bhool gaye
tumhe yaad aaye na aaye hamari kabhi
par hum toh tumhe bhulana hi bhool gaye








Dosti

Pag pag me phool khile
khushiyan aapko itni mile
kabhi na ho dukhon ka samna
hai aapke liye dosti ki shubh kamana





kitni jaldi

kitni jaldi ye mulakat gujar jati hai
pyaas bujHti nahi barsaat gujar jati hai
apni yaadon se kaho Is kadar na aaya kare
neend aati nahi aur raat guzar jati hai





Apne dil

Apne dil ki baat hum unse keh nahi sakte
Bin kahe bhi jee nahi sakte
Aye khuda aisi takdeer bana
Woh humse khud aakar kahe
"HUM AAPKE BINA REH NAHI SAKTE"





woh dillnashi hamara imtehan

woh dilnashi hamara imtehan kya legi
nazre mili to nazre jhuka legi
use hamari kabr pe diya jalane mat dena yaaro
abhi woh nadan hai kahi apna hath jala legi





kabhi kabhi

Kabhi kabhi dil udas hota hai
halka sa aankho ko ehsas hota hai
chhalakte hai meri aankh se aansu
jab aapke dur hone ka ehsaas hota hai





Duniya me

Duniya mein bahut gham milenge
Sachh maano ache dost kam milenge
Jis modh par sab saath chodh denge
Us mod par intezar karte hum aapko milenge