Thursday, January 24, 2008

SMS Shayari





Na kabhi yeh chupaya ki pyaar kitna hai..
Na kabhi yeh jataya ki Dard kitna hai..
Bas hamare uss Ek khuda ko malum hai..
Hamari zindagi me ahmiyat aapki kitni hai..




************ ******




Mitti hai pal bhar mein bikhar jayeange hum log,
Khushbu hai to har dor ko mahaka jayeange hum log,
Hum roohe safar hain hame naamo se na pahchano,
Kal kisi aur naamo se aa jayeange hum log.



************ ******



Hosley buland kar raaston par chal de,
Tujhe tera mukaam mil jayega,
Akela tu pehel kar,
Kaafila khud bann jayega,



************ ******



Apni zameen, apna naya aasman paida kar,
Mangane se zindagi kab milti hai E dost,
Khud hi apna naya itihaas paida kar.



************ ******



JO MAINE KEH DIYA HAI WO TUJHE KAR KE DIKHAYENGE,
BEWAFAI NA KARNA WAFA KARNA TUJHE HUM SIKHAYENGE,
NAHIN HAI TUJHE JEET SAKA ISS JAHAN MEIN KOI,
YEH WADA RAHA TUJHE HUM HI HARAYENGE.




************ ******




DUNIYA MEIN AAYE HO TO GAM SE KABHI DARNA NAHIN,
JO DAR GAYA UNME JINE KA DUM NAHIN,
ZINDAGI KI REL MEIN MILTE RAHENGE HUMSAFAR,
KAL KOI AUR HOGA AAJ BHALE HI HUM SAHI.




************ ******




Guzri Hui Zindagi Ko Kabhi Yaad Na Kar,
Taqdir Mein Jo Likha Hai Uss Ki Fariyad Na Kar,
Jo Hoga Wo Ho Kar Rahega,
Tu Fikr Mein Apni Hasi Barbad Na Kar.



************ ******



Udasiyon se apni nikal kar to dekho,
Zinda ho to,zinda reh kar to dekho.
Apne liye bahut jee liye, aye aazad panchhi,
Thodi der pinjre mein reh kar to dekho.




************ ******




Kitnon ki takdeer badlni hai tumhe,
Kitnon ko raste pe lana hai tumhe,
Apne haath ki lakiron ko mat dekho,
In lakiron se aage jana hai tumhe.




************ ******




Samne ho manzil to raaste na modna,
Jo bhi mann mein ho wo sapna na todna,
Kadam kadam pe milegi mushkil aapko,
Bas sitare chun-ne ke liye kabhi zameen mat chodna.




************ ******




Mere marne ke baad mere liye tum ashq na bahana,
Main har waqt sab ko hasata rehta tha,
Mujhe accha nahi lagta kisi ko rulana,
Agar kabhi meri yaad aa jaaye to,




************ ******




Bhujhi shamaa bhi jal sakti hai,
Toophaan se kashti bhi nikal sakti hai,
Hoke maayus yoon na apne iraade badal,
Teri kismat kabhi bhi badal sakti hai.




************ ******




Zindagi mein kai mushkilein aati hain,
Aur insaan zinda rehne se ghabrata hai,
Na jaane kaise hazaaron kaanton ke beech,
Reh kar bhi ek phool muskurata hai.



************ ******



Waise akele hi aaye hain aur akele hi jana hai,
Kaisa bhi ho bandhan ek din to toot jana hai,
Koi kitna bhi rahe pass ya kitna bhi rahe door,
Sukh dukh ka jalwa apne hi mann ka afasana hai.




************ ******




Ruth gaya hai mujhko manane waala,
Ab koi nahi naaz mere uthaane wala,
Par jaane kya sochta hai,
Yeh khula darwaaza,
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala.




************ ******




Mere Honton ke mehaktay hue naghmon par na ja,
Mere seenay main kai aur bhi gam paltey hain,
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar,
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain.



************ ******



Yoon to paththar na maro pani me isse bhi koi pita hoga.
Yoon to paththar na maro pani me isse bhi koi pita hoga.
Zindagi mili hai jeene ke liye,usse haske jeeo,
Ke aapko dekh kar bhi koi MUSKURATA hoga.....




************ ******




Kuch kar kay dikha diya, ki kaam bohut hain,
Is jahan main jeetnay walay muqaam bohut hain,
Mukammal shakhs wahi jo duniya ko badal dalay,
Roz mar mitney walay naam bohut hain.





************ ******
Aao jhuk kar salam kare unhe,
Jinki zindagi me ye mukaam aaya hai.
Kis kadar khushnasib hai wo log,
Jinka lahoo desh ke kaam aaya hai.

************ ******
Sar Jhukaogay to pathar bhi dewtaa ho jayega,
Itna na chaho ussay, woh bewafa ho jayega.
Hum bhi dariya hain, humein apna hunar maloom hai,
Jis taraf chal padey raasta ho jayega.

************ ******
Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate Hai,
Soch Ko Badlo To sitare Badal Jate Hai,
Kashtiya Badal ne ki jarurat nahi,
Disha Ko Badlo to Kinare Khud-b-Khud badal jate hai.

************ ******
Ban sahara be-saharo ke liye,
Ban kinara be-kinaro ke liye,
Jo jeeye apne liye to kya jeeye,
Jee sakke to jee hazaro ke liye.

No comments: